YAADEIN

4:06 PM Unknown 3 Comments

Dil ke ek kone mei chhupe hain kuchh raaz,
Aaj unhe sunne-sunane ka karte hain aagaaz.
Har tamanna ho poori dil ki, yahi hai aas,
Na ghabraye ham, na dagmagaye hum, rahe kayam hamara vishwas.

Dagmagati rahon mein koi aisa de hamara saath,
Chahe aaye mushkil, na chhode wo hamara haath.
Na ho kabhi kuchh bura, na ho koi ghaath,
Har jeet ho hamari, haar ko hum de jaaye maat.

Zindagi ki raahon mein, aayein jaisi bhi mushkilein,
Jeetein hum, unse ubhre hum, sadaa na rahe ye atkalein.
Nibhaye hum, kabhi na bhulaye hum, kiye jo humne hain vaade,
Aisi chhaap chhod jaaye hum, hamare jaane ke baad yaad aaye hamari yaadein.

Na rulayein woh yaadein,
Na sataye woh yaadein,
Na hasna kisiko bhulaye woh yaadein,
Woh yaadein ho aisi, har ghadi har kisiko,
Hamare jaane ke baad, yaad aaye hamari yaadein.

3 comments:

Mohua said...

again a very powerfully written poem... true, dat only memories can make or break us... i wish some memories wud jus stop haunting me, while others i cant evn forget fr a sec cz my essense is hidden in them...

Unknown said...

@mohua.........mere saath b kuchh aisa case hai...

Abhishek said...

nice..